Friday 24 August, 2007

My paiting


Hi,

Kalam chalate chalate brush haath main aa gaya, toh kuch is tarah ki jugalbandi ho gayee rangon ki....ab bataiye ki mere brush kya kehte hai.....


Waiting for your valuable comment.....


Vicky

Friday 17 August, 2007

Thursday 9 August, 2007

Monday 23 April, 2007

Thursday 19 April, 2007

Saturday 31 March, 2007

Monday 26 March, 2007

Thursday 22 March, 2007

Wednesday 14 March, 2007

Saturday 10 March, 2007

Wednesday 7 March, 2007

Thursday 1 March, 2007

Shrddhanjali...


Guzar ki chah main jo nikle the ghar se,

Na ruke tab tak ki guzar gaye….

Kai meel ke paththar dekhe, na ruka karwan waha,

ek din sanse ruki aur hamesha ke liye thehar gaye...

Har mousam dekha, hawaon ko padne lage the,

Tufaan jo dekha raat ka, mund li aankhe aur bikhar gaye.....

Har mushkil par haste the, Ghamon se ek nata tha,

Kali ghataon ke manzar dekh sihar gaye....

Muskurahtein sajti thi unke chehre par, apno ko haste dekhne aadat hua karti thi,

Zindagi unki aisa hansi sab par, jo woh aankho mein aansoo chod gaye…

Kiya karte the wade saath chalne ke, kuch der chale bhi,

Jab bari ayee jine marne ki, toh hamein akela chod aage nikal gaye....

Na ruke tab tak ki guzar gaye.....









Na ruke tab tak ki guzar gaye.....

Monday 26 February, 2007

Bhookh....


Chund roti ke tukdon se pet bhar jata hai,
Phir kyu insaan doudta rehta hai,
yeh kaisi bhookh hai jo mit tee nahi…

Garibee se haal behaal hai logon ka,
Tan par kapda nahi, rang sookh chuka hai chehron ka,
Yeh kaisi mayusee hai jo toot tee nahi…

Kahi toh khil rahe hai chehre, roshni hai chahu aur,
Kahi bujhe chehron main milta nahi andheron ka akhree chor,
Yeh kaisi majboori hai jo chut tee nahi…

Rangon bhari is dunia main, kyu berang hai unki basti,
kyu mayusee hai chayee unke dilon par, kaha gum hai unki hasti,
yeh sawalon ki kaisi ladi hai jo toot tee nahi…

Itna ghareeb hai mukaddar unka, phir bhi muskurate hai woh,
Chadar bhale hi choti ho, par befikra so jate hai woh,
Sang ek asha hai jine ki jo ruth tee nahi,
yeh kaisi bhookh hai jo mit tee nahi…

Thursday 22 February, 2007

Dil karta hai...


Dhoop main chalta raha, pasine se chehra dhulta raha,
Kahi thodi chav mile, ab sone ko dil karta hai,

Kai manzar dekhe, Kai chehron ki asliyat pehchani,
Koi apna kandha mile, ab rone ka dil karta hai.

Thamta nahi hai dard ka karwan, phir bhi yeh palken rookhi hai,
Sookh na jaye yeh samndar, yeh soch kar dil darta hai,

Har rat ke baad suraj aata hai, yeh toh dunia janti hai,
Apne suraj ka intezar, salon se yeh dil karta hai,

Chirag jo jalte nahi, woh hamari kismat main aye hai,
Koshishe unhe roshan karne ki, harta dil baar baar karta hai,

Saturday 17 February, 2007

Khudai..


Aankho main sapne diye hai jine ko,
Par dekhne ko aankhe na banai,
Wah re khuda wah re teri khudai….

Pet banaya, garibee ki mohar mathe par lagai,
Aur us par hatho main bhookh ki lachari thamai,
Wah re khuda wah re teri khudai…

Manzil har ek ke liye hai,
chalkar pahuchne wale peron ki jagah
hath mein Majboori ki baisakhi thamai,
wah re khuda wah re teri khudai…

dharti se swarg par jisne janam diya,
un maa baap ka upkaar bhool, unhe de di astitav ki ladai,
Wah re khuda wah re teri khudai…

Sawal anek hai mere moula, jawab hai sirf tere paas,
Jab itni hi lachari aur majboori deni thi jahan main,
Phir bata kyu tune yeh dunia banai,
Wah re khuda wah re teri khudai…..?

Thursday 15 February, 2007

Lalach...


Taron ki khwahish ki, chand mil gaya,
Phool manga, gulistan mil gaya,
Phir bhi dil kehta hai ki kuch kam hai….

Rah main chalte chalte ek hamsafar ko socha, karwan mil gaya,
Manzil ka nisha manga, rasta mil gaya,
Phir bhi dil kehta hai ki kuch kam hai….

Thakne par muskurahat mangi, khushi se khikhila utha man,
Patjhar main bhi bahar sa khil gaya aangan,
Phir bhi dil kehta hai kuch kam hai….

Tanhaiyon ka jab bhi ehsaas hua, Virana bhi mehfil ban gaya,
Jab meri aur andhron ke hath badhe, andhera roshni main badal gaya,
Phir bhi dil kehta hai kuch kam hai….

Jab bhi dua main hath uthe, har khwahish se jyada diya mere r
ab ne,
Bas ek gham hai kyu hai, yeh soch ki jo mila who kam hai….

Monday 12 February, 2007

Syahii...


Dil ki baat aaj kagaz par utar aayee hai,
kya kuch kehne lagi yeh be-zubaan kali syahi hai,

jaha ka dard samoya hai, virano ki dastan bayan karti hai,
hansi bikherti hai shabdon se, aur aankho ko nam karti hai,

pyar ka ezhaar, nouk jhok aur takraar likha karti hai,
har meethe pal se dil ko meetha karti hai,

dekhne main kali syahi, jahan ko ujla karti hai,
jeewan ke har rang ki, yeh syahi rachna karti hai,

Wednesday 7 February, 2007

Rakt ki dhara..


Sarhad par khade the sainik, jis se har dushman tha hara,
Kahi the jai ghosh hind ke, kahi sarkti rakt ki dhara…..

Maati ka tha karz, har ek tha matrubhoomi ka pyara,
Khade hue the seena tane, jab jab dushman ne lalkara,

Palak bichaye the sarhad par, mushkil tha dushman ka bach pana,
Hansi thi chehron par unke, aur har waar par tha muskurana,


Biwi ka pyar, bachcho ki hansi, maa par kurbaa sara jahan kiya,
Dost yaron ko chod, dushman se hi pyar kiya,

Karm ko hi dharm maan chale, gajab thi un ladakon ki toli,
Haste haste jhel gaye, seeno par kitni goli,

Jaha dard karta jeetne ki teyari, utha tiranga bharat mata ki jai ka ghosh kiya,
Aankhon main sukhe aasnsuon se, mout ko bhi khmosh kiya,

Unke josh ke age toh tha aasman bhi hara,
Kahi the jai ghosh hind ke, kahi sarkti thi rakt ki dhara…

Friday 2 February, 2007

Hounsale..


Gar tufano main hai zor toh hounsala hum main bhi kam nahi,

Manzil toh hum paenge hi lakh ho mushkilen koi gham nahi,

Mana talvaar mein dhar nahi par zor in bazuo main kam nahi,

Kalam karenge mushkilon ke sar, ab bin manzil kisi rah pe apni guzar nahi,

Mousam, hawaein, patjhar aur baharein, koi aye koi jaye ab koi gham nahi,

Yaron ki masti apno ka pyar, yad toh ayega, par rukne wale ab hum nahi,

Kadam ladkhdayenge, rah par akele chalna aasan hoga nahi,

Har kadam khud se kahenge, chale chalo ab manzil door nahi,

Akelapan dharaega, aankhe dikhyega par sahemne wale ab hum nahi,

Bas khud se kehenge, main aur mera khuda mil jaye toh sare jaha se kam hum nahi.....

Tuesday 30 January, 2007

Maramari...


Na bapoo ko dekha, na nehru ko socha,


Bhagat singh ko bhool chuke, chand spano ki maramari mein…



Bhai behan ka pyar gaya, mamta se dular gaya,


Apne paraye sab ek hue, chand rishton ki maramari mein…



Zamin ke tukde ho gaye, kheton se khalihan gaya,


Parivaar jo the sab toot gaye, mutthi bhar zamin ki maramari mein…



Desh par bhari videsh hua, ab pehli pasand pardes hua,


apno ka sang chod chale, chand sikko ki maramari mein…



bhookh pyas sab bhool gaye, ankho ki neend leel gaye,


Din aur raat sab ek kiye, roti ke chand tukdo ki maramari mein…



Aankhe munde, zuban par lagam kasa,


Hum bhi doud chale, thoda sa jine ki maramari mein…

Monday 29 January, 2007

Sawal...


Yad hai woh pak ramzaan tha aur roze chal rahe the, hamare ghar bhi deepawali ki teyariya shuru hui thi, main bazaar se aakar baitha hi tha ki mere chacha ka chota beta mayank jise pyar se sabhi gharwale chuchu kehte hai,(darasal uski shakal bhi chuchu jaisi massom hai) aakar meri god main baitha aur bola bhaiya yeh ramzan kya hota hai? uske chehre se bala ki masoomiyat tapak rahi thi. Main khud ko uska jawab dene se rok na saka apne islaam ke tooti phooti jankari ki ekatrit karke maine uski is jigyasa ko shant karne ka sahas kiya (uske masoom sawalon ke jawab dena sach main ek sahasik kaam hai, kargil main goliyan kam chali hongi uske sawalon ke mukable) maine bade hi pyar se kaha beta ramzam islaam main bada hi pavitra mahina mana jata hai, jaisa socha tha agli goli, bhaiya isme kya karte hai? Is baar thoda dar lag raha than na jane agli goli kounsi ho use dhyan main rakh kar maine is sawal ka jawab bada hi sadhe tarike se diya, beta isme log roza rakte hai, hum jise upwaas kehte hai use muslim log roza kehte hai, us din maine who kargil jeet liya aur chuchu kisi doorsri baat main ulajh kar reh gaya.

Par mujhe nahi pata tha ki yeh yuddh viraam nahi hai apna aslaa teyaar karne ke liye liya gaya waqt hai, agli subah uska chehra dekh kar mujhe apni pataka niche jhuki nazar aane lagi, pehli goli uske kheme se chali, bhaiya hum roza kyo nahi rakhte? sawal ke peeche ki ran-niti ko na samajhte hue bade hi sahaj swabhav se uttar diya beta who toh sirf muslim log hi rakhte hai….

Is baar chuchu gazab ki teyari main tha usne tapak se kaha, bhaiya main bhi roza rakhoonga mere dost muslim hai unhoone mujhe bataya ki ramzaan ka 27va din sabse pak hota hai main us din roza rakoonga, uski is yojna sunkar main hil gaya, jo baat maine 25 salo main nahi sochi who baat 7 saal ka bachcha kitni aasani se keh gaya.. use mana karne ka sahas na juta paya, apne man ko kachotta hua sochta raha-Hum badon ne zamin par kuch katon ki taron se uska batwara toh kar diya, par hum kyo in masoomon ke dilon main katon bhari taren taan rahe hai…? sawal ka jawab aaj bhi dhoondh raha hoon, kya main sahi tha ya who saat saal ka chuchu…

Wednesday 24 January, 2007

Kurukshetra...




Na manzilein hongi, na hamsafar,
Raste bhi anjane honge, jab thake sharir toh khud ko bhoolna nahi…

Koshishein nakam hongi, mehnatein bekar hongi,
Jab tootne lage dil toh khud ko bhoolna nahi…

Rah main kaii aaenge, kaii chod jayenge,
Akela ho man toh khud ko bhoolna nahi…

Age vishal sagar ho, paar tumhe jana, pas na koi zariya ho,
Madad talashe man toh khud ko bhoolna nahi…

Gagan ko chuta parvat samne ho, apni hasti choti lage,
Sahas chahe man toh khud ko bhoolna nahi…

Koi madad na hogi, na koi sathi hoga,
Apne rath ke tum sarthi, apne raste khud chun na hoga,

Pehchan khud ko apni mehnat se yeh kurukshetra jeetna hoga,
Apni mehnat se yeh kurukshetra jeetna hoga........

Monday 22 January, 2007

Aaj bhi...


Yadon main jagti hai ratein aaj bhi,

Sawalon ke jawab dhoondhti hai aankhein aaj bhi,

Kuch pal thehrti hai zindagi aaj bhi,

Kuch palon ko jeeti hai zindagi aaj bhi,

Kano tak pahuchti hai aahtein aaj bhi,

Tanhai leti hai karwatein aaj bhi,

Palkein nam karte hai aanso aaj bhi,

Khayalon main khoye rehte harsoo aaj bhi

Muskuraht darti hai muskurane aaj bhi,

Rakhte hai zakhmo ko sirhane aaj bhi,

Thmte thmte thak chukein hain, ab intezar hai chalne ka,

Beete kal ko bhula de aane wale aise pal ka….

Saturday 20 January, 2007

Hum Be-watan....


Zameen apni aasman apna,
yeh suraj aur chand tare bhi apne,
Phir kyu hai hum be-watan……


Khet apne khaliyano ki faslein apni,
Rastein apne unpar chalkar milne wali manzilein bhi apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….


Sardiyon ki dhoop apni,
Barishon main girne wali pani ki har boond apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….


Nadiyan apni jharne apne,
Parvat apne unhe dhakne wale jangal apne,
Phir kyu hai hum be-watan…….


Jeet apni haar apni,
Madad ke liye pukar bhi apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….


Sawal kai hai jawab sirf ek,
Jaha apne sath nahi hote, waha sab kuch hone par bhi,
Hote hai hum be-watan…….

Thursday 18 January, 2007

Ghalib ki ghalibi.......


Mirza ghalib ko toh sab jante hai, dimag main shayari jeb main fakiri.


Ek baar ghalib apne faanke ke dino main apne doston ke beech baithe the thabhi unhone kuch aisi baat kahi ki sabhi dost khush ho gaye aur unhe inaam dene ka faisla kiya…..sabne apni apni jeb se kuch asharfiya jama karke ghalib ko di aur kaha…….ghalib yeh lo aaj toh tum apne biwi bachcho ko khana de paoge……….sabha samapt hone par sabhi apne ghar ko chale, ghar jate waqt mirza ne khana na lete hue sharab ki botalein le li. Ghar par jab unki biwi ne sharab ki botalein dekhi toh mirza ko khari khoti sunane lagi…..us par mirza ne apne andaz main jawab diya ki…kyo pareshan hoti ho upper wale ne jab pet diya hai toh khana toh dega hi…aur sharab ki aur ishara karte hue kaha baki cheezo ka intezaam hamein karna padta hai…..


Toh doston moral of the story is Zindagi main sirf roti hi nahi hai pane ko....

Wednesday 17 January, 2007

Chehra......


Tarah Tarah ke chehron se mukhatib hua mera chehra,


Kuch anjane the chehre, kuch pehchane the,


Kuch sachchayee liye the, kuch ne naqab odhe the,


Kuch muskaan liye the jo dard ko rawa kartee thi,


Kuch dard liye the jo muskaan ko faana karte thi,


Kuch ne har pal mera saath diya, kuch ne waqt par khud ko mujh se door kiya,


Kuch chehre the jinhe aankho ne sabse pahle pehchana tha,


Kuch aise the jinhone un pehchane chehron ko bhula diya,


Kuch chehron par waqt ne apni nishani chodi thi,


Par kuch hi chehron ne waqt par apni chaap chodi thi,


Kuch udaas kuch khile hue the,


kuch chalte kuch ruke hue the,


Chehron ki is duniya main kai chehre dekhe,


Ab toh is chehre neb hi chehra banana seekh liya,


Jite marte har gham ko dabana seekh liya,


Is chehron ki duniya main hamne bhi chehra banana seekh liya………


Is chehron ki duniya main hamne bhi chehra banana seekh liya………

Friday 12 January, 2007

Ebaadat....




Mandir ki ghantiyan toh har koi bajata hai,
Kya kisi bachche ko godd main thapkiyan dekar sulaya hai,

Masjid main paanch waqt ki namaz toh ada har koi karta hai,
Kabhi kisi bhookhe ko ek waqt ka khana khilaya hai,

Gurdware main gurbani toh har koi sunta hai,
Kisi bezuban janwar ki baton ko kano se lagaya hai,

Bible ko dil se lagakar har koi rakhta hai,
Kya kisi pedh ko bahon main bharkar sine se lagaya hai,

Pooja path ke raste chalkar har koi moksh tak jana chahta hai,
Kya kabhi kisi bhatke hue ko uski manzil tak pahuchaya hai,

Ishwar ke paas ja kar ebaadat nahi hoti,
Sachchi ebaadat ke liye, kabhi apne andar ke insaan ko jagaya hai.

Wednesday 10 January, 2007

Kisan ki kyari......


Mittii ka chehra dekhkar, rone laga man,
Sukhi mitti reh gayee, dokha de gaya sawan,

Sune dil reh gaye, pyaas bujh na saki,
Suraj ne barsayee aag, badal se ek boond baras na saki,

Har chehra sookh gaya mano patjhar aa gaya,
Rotee aankhe sookh gayee, bin bares sawan chala gaya,

Ab badalon ko nihartee aankhe, chup se pooch rahi hai,
Kaha gaya data, jag ka palanhara, mehnat main koun si kami baki rahi hai,

Kyu sune pade hai aangan, chulho ke angar bujhe kyu,
Jag ko dana dene walon ke bachche bhokhe kyu,

Kab barsoge devendra, kab mitegi pyas hamari,
Der na karna, sookh na jaye ek kisaan ki kyari.

Mutthee bhar aasmaa.....




Baithe hai faqiron ki sangat main, dimag par gareebi chayee hai,
Par na jane kaha se yeh mutthee bhar aasmaa pane ki chahat man main aayee hai,



Zamin pane ki is daud main, aaj hum sab kuch bhool chuke,
Aasman ke taron ko zamin ki rounak main leel chuke,
Aaj duniya pe kyu yeh aafatein aayee hai,
Na jane kaha se.........


Bhoole maa ki mamta, bhai behan ka pyar bhool chuke,
Yad aaj dadi ke kisse aur nani ki kahani aayee hai,
Na jane kaha se........



Doudte bhagte shehar, sote din aur jagti ratein,
Eet aur paththaron ke jangalon ki jamat jamai hai,
Na jane kaha se.........


Bhaag rahe hai aankhe moonde, disha ka kuch bhi gyan nahi,
Pata nahi hai aage rasta hai, ya phir gehri khaii hai,
Na jane kaha se.........



Khud ko bhachane ke liye chale the doudne, par ab rukne ki bari aayee hai,
Ab yeh zameen toh khatm ho chali, shayad isliye aasmaa par nazar doudayee hai,


Sab samajh main aa gaya ke kyu yeh nazarein doudaee hai,
Mutthee bhar aasmaa pane ki chahat man main aayee hai,
Mutthee bhar aasmaa pane ki chahat man main aayee hai..........

Tuesday 9 January, 2007

Parchayee....




Ruk kar pooch liya hamne apne saye se,
Kyo dikh rahe ho itne ghabraye se,

Kya kahi kho gaye ho ya thokar khayee hai,
Kyo bhari dopahar chehare par amavas chayee hai,

Jawab dene ke badale ghoorne laga woh,
Aankho hi aaknho main keh gaya sari baat,

Kaha! wah hazrat man gaye tumhari ada ko,
Kyo nadan bante ho, musibat aayee toh hamse hi anjan bante ho?

Hamein bhi pata hai ki aaj hi tumhari biwi ne ki tumhari pitai hai,
Zara gour se dekhiye yeh aur koi nahi aapki hi parchayee hai.....

Seekh....


Aankein hui thi nam, Hontho ne hansana chodd diya,
Bejan sharir tha aur is dil ne dhadhkna chodd diya,

Auron ko hanste dekh yeh man jalne lagta tha,
Phoolon se dushmani ho gayee aur kanto se dil behalta tha,

Apno se ghira hone par bhi, ek kandhe ko tarasta tha,
Zakhmon se itna dar chuka tha, marham lagate hatho se daar lagta tha,

Ja baitha samandar kinare, uski leharon se ek masoom sa kachua ladta tha,
Samndar main jane ki uski chah se sagar ko chota karta tha,

Uske honsale ke samne samandar bhi haar gaya,
Ek badi lehar se uski mehnat sweekar gaya,

Chote se kachue ne jeena sikha diya,
Jeetna mushkil hai par ladna sikha diya,
Jeetna mushkil hai par ladna sikha diya......

Shri Niraj...


Ek din baitha samndar teer par, Sun raha tha bulbule ki main katha,


Dekhi kashti kagaz ki usme, Thi jisme pahadon si vyatha,


Dekh achrajh hua chalti hai kis tarah majhdhar main,


Hans kaha usne chalati chah hai, Aadami chalta nahi sansaar main,


Hans kaha usne chalati chah hai, Aadami chalta nahi sansaar main.....

Monday 8 January, 2007

Zidd...


Tez dhoop main chal raha hoon

Phir bhi andhera ghere hai mujhe,


Subah pata nahi kitni door hai mujhse,

Samajh main nahi aa raha kya batau tumse,



Sari baat ka saransh hai ki,

Zindagi khafa hai mujhse,



Phir bhi aansuo ko chupa kar,

Hans kar, gaa kar aur muskura kar,


Kar raha hoon koshise use manane ki,

Par jindagi hai ki manti nahi aur main hoon ki HARTA nahi.

Udan....


Kyo apne ghonsale main baith rote ho,


Kyo kehte ho ki hum udd paye nahi,


Pankh toh tumhare pas bhi hai,


Par tumne kabhi felaye nahi,


Udan toh tumhari bhi mushkil nahi,


Par tumne zor se pankh phadphadaye nahi,


Ek baar apne ghonsale se bahar aakar mehsoos karo hawaon ko,


Toofan bhi madhdham ho jayega,


Ek bar udne do apne armaanoo ko....


Ek bar udne do apne armaanoo ko...........

Khwahishe.....


Dekha ek hanste hue bachche ko,

Apne bachpan ko talashta ma jhat se bol pada,

Kaashh todi si hansi mujhe mil jaye.....


Ghar ki chhaat ke surag se aati dhoop ko haatho main lekar dekha,

Roshni ko tarasta man jhat se bol pada,

Kaashh todi si roshni mujhe mil jaye.....


Sagar kinare tehalte hue ret ke gharonde ko dekha,

Apne liye aashiyan talashta man jhat se bol pada,

Kaashh ek chhaat mujhe mil jaye.....


Do chidiyon ko barish se bane pokhar main mastate dekha,

Dosti ko tarasta man jhat se bol pada,

Kaashh todi si dosti mujhe mil jaye.....


Shehar se gujarte hue janaze ko dekha,

Apni bhi mout yad aa gayee,

Mout se darta man jhat se bol pada,

Kaashh toda sa waqt mujhe mil jaye.....



Apni khwahisho ko liye guzare jab masjid se,

Sari khwahishe rawa ho gayee jab man ne kaha,

Kaashh toda sa KHUDA mujhe mil jaye.....

Khuda




Manzilen bhi uski thi, Rasta bhi uska tha...

Ek Main akela tha, Kafila bhi uska tha....

Sath chalne ki soch bhi uski thi,

Phir rasta badane ka faisla bhi uska tha......

Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,

Log toh uske the, Kya KHUDA bhi uska tha?

Saturday 6 January, 2007

JEET


Honsale buland ho toh aasman bhi jhukta hai,


Eradon main jaan ho toh chand bhi milta hai.....


Jeet usi ki hoti hai jo sochta hai,


Na sochne wala fariyad hi karta rehta hai.....


Mushkilen kise nahi hoti, Mushkilon ke paar dekhna padta hai,


Na dekhne wala mushkilon ke beech hi rota rehta hai....


Har haar ke baad dil choor choor ho jata hai,


Sahasee uske tootte hi use jodne main jut jata hai....


Maause na hokar har se ladne ko phir sahas jutata hai,


Buland honsalon aur mazboot iradon se AASMAAN bhi jhukata hai.....