Wednesday, 17 January 2007

Chehra......


Tarah Tarah ke chehron se mukhatib hua mera chehra,


Kuch anjane the chehre, kuch pehchane the,


Kuch sachchayee liye the, kuch ne naqab odhe the,


Kuch muskaan liye the jo dard ko rawa kartee thi,


Kuch dard liye the jo muskaan ko faana karte thi,


Kuch ne har pal mera saath diya, kuch ne waqt par khud ko mujh se door kiya,


Kuch chehre the jinhe aankho ne sabse pahle pehchana tha,


Kuch aise the jinhone un pehchane chehron ko bhula diya,


Kuch chehron par waqt ne apni nishani chodi thi,


Par kuch hi chehron ne waqt par apni chaap chodi thi,


Kuch udaas kuch khile hue the,


kuch chalte kuch ruke hue the,


Chehron ki is duniya main kai chehre dekhe,


Ab toh is chehre neb hi chehra banana seekh liya,


Jite marte har gham ko dabana seekh liya,


Is chehron ki duniya main hamne bhi chehra banana seekh liya………


Is chehron ki duniya main hamne bhi chehra banana seekh liya………

4 comments:

bhavna2716 said...

so this time somethin from the real world. its very true so aakhir apne chehra banana sikh liya!lines are as real as the pic is. Both r reflecting the same idea, nice combination.good going boss!

Cosmos said...

Chehre Wo jo chhod kar chal diye wo sirf chehre the aur jinhone muskurakar har waqt par sath diya un chehron ke peechhe khuda ki beshkeemati nemat Insaan chhupa tha.
Nice one......

Unknown said...

good one. from where did u get it.really nice.

Unknown said...

hi bhaiya .... turely a nice1 ... the real world strategy .. "chehra banana .." most of the people r trying to be like chehra .. keep going .. all the best ...