Aankho main sapne diye hai jine ko,
Par dekhne ko aankhe na banai,
Wah re khuda wah re teri khudai….
Pet banaya, garibee ki mohar mathe par lagai,
Aur us par hatho main bhookh ki lachari thamai,
Wah re khuda wah re teri khudai…
Manzil har ek ke liye hai,
chalkar pahuchne wale peron ki jagah
hath mein Majboori ki baisakhi thamai,
wah re khuda wah re teri khudai…
dharti se swarg par jisne janam diya,
un maa baap ka upkaar bhool, unhe de di astitav ki ladai,
Wah re khuda wah re teri khudai…
Sawal anek hai mere moula, jawab hai sirf tere paas,
Jab itni hi lachari aur majboori deni thi jahan main,
Phir bata kyu tune yeh dunia banai,
Wah re khuda wah re teri khudai…..?

2 comments:
duniya babnane vaale kya tere man mein samayi, tune kahe ko duniya banayi???
Nothing is perfect, hume perfect banana padta hai...duniya buri nahi hai...humne banayi hai...
uski khudai wo hi jane..
par bina wajah ke wo kuch nahi karta hai. thr is always something behind.. jo samay aane par hi pata chalta hai but never lose hope
wo subah kabhi to aayegi !
Post a Comment