Friday, 2 February 2007

Hounsale..


Gar tufano main hai zor toh hounsala hum main bhi kam nahi,

Manzil toh hum paenge hi lakh ho mushkilen koi gham nahi,

Mana talvaar mein dhar nahi par zor in bazuo main kam nahi,

Kalam karenge mushkilon ke sar, ab bin manzil kisi rah pe apni guzar nahi,

Mousam, hawaein, patjhar aur baharein, koi aye koi jaye ab koi gham nahi,

Yaron ki masti apno ka pyar, yad toh ayega, par rukne wale ab hum nahi,

Kadam ladkhdayenge, rah par akele chalna aasan hoga nahi,

Har kadam khud se kahenge, chale chalo ab manzil door nahi,

Akelapan dharaega, aankhe dikhyega par sahemne wale ab hum nahi,

Bas khud se kehenge, main aur mera khuda mil jaye toh sare jaha se kam hum nahi.....

4 comments:

bhavna2716 said...

Mr b+ve i know badhao se dar jaye wo ham nahi
last line rocks!
main aur mera khuda mil jaye toh sare jaha se kam hum nahi.....
shandar man !

Unknown said...

hounsale Great!!!!!!!
it is excellent Last Row to gazab hai sir,very good isi tarah hounsale banaye rakho........

Cosmos said...

Wah kya baat hai janaab!!!
Aapka housla dekh kar hi to khwab buland hai mera.
Har ek lafz ne daala hai umeedon ka ghera.

Ise oxyzen kahoon ya pranvaayu par kuchh bhi ho sari baaten jaise zindagi me nayi umeed phoonk jaati hain.

Unknown said...

wah wah wah wah....stupendous....i especilaay like the last stanza..."akelapan.........bas khud se........."...kya baat hai aapka toh jawaab nahi!!!