Monday 26 February, 2007

Bhookh....


Chund roti ke tukdon se pet bhar jata hai,
Phir kyu insaan doudta rehta hai,
yeh kaisi bhookh hai jo mit tee nahi…

Garibee se haal behaal hai logon ka,
Tan par kapda nahi, rang sookh chuka hai chehron ka,
Yeh kaisi mayusee hai jo toot tee nahi…

Kahi toh khil rahe hai chehre, roshni hai chahu aur,
Kahi bujhe chehron main milta nahi andheron ka akhree chor,
Yeh kaisi majboori hai jo chut tee nahi…

Rangon bhari is dunia main, kyu berang hai unki basti,
kyu mayusee hai chayee unke dilon par, kaha gum hai unki hasti,
yeh sawalon ki kaisi ladi hai jo toot tee nahi…

Itna ghareeb hai mukaddar unka, phir bhi muskurate hai woh,
Chadar bhale hi choti ho, par befikra so jate hai woh,
Sang ek asha hai jine ki jo ruth tee nahi,
yeh kaisi bhookh hai jo mit tee nahi…

Thursday 22 February, 2007

Dil karta hai...


Dhoop main chalta raha, pasine se chehra dhulta raha,
Kahi thodi chav mile, ab sone ko dil karta hai,

Kai manzar dekhe, Kai chehron ki asliyat pehchani,
Koi apna kandha mile, ab rone ka dil karta hai.

Thamta nahi hai dard ka karwan, phir bhi yeh palken rookhi hai,
Sookh na jaye yeh samndar, yeh soch kar dil darta hai,

Har rat ke baad suraj aata hai, yeh toh dunia janti hai,
Apne suraj ka intezar, salon se yeh dil karta hai,

Chirag jo jalte nahi, woh hamari kismat main aye hai,
Koshishe unhe roshan karne ki, harta dil baar baar karta hai,

Saturday 17 February, 2007

Khudai..


Aankho main sapne diye hai jine ko,
Par dekhne ko aankhe na banai,
Wah re khuda wah re teri khudai….

Pet banaya, garibee ki mohar mathe par lagai,
Aur us par hatho main bhookh ki lachari thamai,
Wah re khuda wah re teri khudai…

Manzil har ek ke liye hai,
chalkar pahuchne wale peron ki jagah
hath mein Majboori ki baisakhi thamai,
wah re khuda wah re teri khudai…

dharti se swarg par jisne janam diya,
un maa baap ka upkaar bhool, unhe de di astitav ki ladai,
Wah re khuda wah re teri khudai…

Sawal anek hai mere moula, jawab hai sirf tere paas,
Jab itni hi lachari aur majboori deni thi jahan main,
Phir bata kyu tune yeh dunia banai,
Wah re khuda wah re teri khudai…..?

Thursday 15 February, 2007

Lalach...


Taron ki khwahish ki, chand mil gaya,
Phool manga, gulistan mil gaya,
Phir bhi dil kehta hai ki kuch kam hai….

Rah main chalte chalte ek hamsafar ko socha, karwan mil gaya,
Manzil ka nisha manga, rasta mil gaya,
Phir bhi dil kehta hai ki kuch kam hai….

Thakne par muskurahat mangi, khushi se khikhila utha man,
Patjhar main bhi bahar sa khil gaya aangan,
Phir bhi dil kehta hai kuch kam hai….

Tanhaiyon ka jab bhi ehsaas hua, Virana bhi mehfil ban gaya,
Jab meri aur andhron ke hath badhe, andhera roshni main badal gaya,
Phir bhi dil kehta hai kuch kam hai….

Jab bhi dua main hath uthe, har khwahish se jyada diya mere r
ab ne,
Bas ek gham hai kyu hai, yeh soch ki jo mila who kam hai….

Monday 12 February, 2007

Syahii...


Dil ki baat aaj kagaz par utar aayee hai,
kya kuch kehne lagi yeh be-zubaan kali syahi hai,

jaha ka dard samoya hai, virano ki dastan bayan karti hai,
hansi bikherti hai shabdon se, aur aankho ko nam karti hai,

pyar ka ezhaar, nouk jhok aur takraar likha karti hai,
har meethe pal se dil ko meetha karti hai,

dekhne main kali syahi, jahan ko ujla karti hai,
jeewan ke har rang ki, yeh syahi rachna karti hai,

Wednesday 7 February, 2007

Rakt ki dhara..


Sarhad par khade the sainik, jis se har dushman tha hara,
Kahi the jai ghosh hind ke, kahi sarkti rakt ki dhara…..

Maati ka tha karz, har ek tha matrubhoomi ka pyara,
Khade hue the seena tane, jab jab dushman ne lalkara,

Palak bichaye the sarhad par, mushkil tha dushman ka bach pana,
Hansi thi chehron par unke, aur har waar par tha muskurana,


Biwi ka pyar, bachcho ki hansi, maa par kurbaa sara jahan kiya,
Dost yaron ko chod, dushman se hi pyar kiya,

Karm ko hi dharm maan chale, gajab thi un ladakon ki toli,
Haste haste jhel gaye, seeno par kitni goli,

Jaha dard karta jeetne ki teyari, utha tiranga bharat mata ki jai ka ghosh kiya,
Aankhon main sukhe aasnsuon se, mout ko bhi khmosh kiya,

Unke josh ke age toh tha aasman bhi hara,
Kahi the jai ghosh hind ke, kahi sarkti thi rakt ki dhara…

Friday 2 February, 2007

Hounsale..


Gar tufano main hai zor toh hounsala hum main bhi kam nahi,

Manzil toh hum paenge hi lakh ho mushkilen koi gham nahi,

Mana talvaar mein dhar nahi par zor in bazuo main kam nahi,

Kalam karenge mushkilon ke sar, ab bin manzil kisi rah pe apni guzar nahi,

Mousam, hawaein, patjhar aur baharein, koi aye koi jaye ab koi gham nahi,

Yaron ki masti apno ka pyar, yad toh ayega, par rukne wale ab hum nahi,

Kadam ladkhdayenge, rah par akele chalna aasan hoga nahi,

Har kadam khud se kahenge, chale chalo ab manzil door nahi,

Akelapan dharaega, aankhe dikhyega par sahemne wale ab hum nahi,

Bas khud se kehenge, main aur mera khuda mil jaye toh sare jaha se kam hum nahi.....