Monday, 8 January 2007

Zidd...


Tez dhoop main chal raha hoon

Phir bhi andhera ghere hai mujhe,


Subah pata nahi kitni door hai mujhse,

Samajh main nahi aa raha kya batau tumse,



Sari baat ka saransh hai ki,

Zindagi khafa hai mujhse,



Phir bhi aansuo ko chupa kar,

Hans kar, gaa kar aur muskura kar,


Kar raha hoon koshise use manane ki,

Par jindagi hai ki manti nahi aur main hoon ki HARTA nahi.

3 comments:

Cosmos said...

Zindagi se har jane wale kayar hote hain.
Aur hur dum is se ladne wale aap jaise Shayar hote hain.


Mere khayal me zindagi ke gamon ko bhula kar apne raston par chalte rahna hi hardum khush rahne ka, ya phir yoon kahen ki khush dikhne ka behatreen nuskha hai.

bhavna2716 said...

Harne wale aapki taarh optimistic poems thode hi likhte hai.Na harne wale hi khud likhkar inspire hote hai aur post karke dusro ko inspire karte hai

Unknown said...

its realy nice i never knew that ur suc good poet. vicks, good try snehal