Monday, 12 February 2007

Syahii...


Dil ki baat aaj kagaz par utar aayee hai,
kya kuch kehne lagi yeh be-zubaan kali syahi hai,

jaha ka dard samoya hai, virano ki dastan bayan karti hai,
hansi bikherti hai shabdon se, aur aankho ko nam karti hai,

pyar ka ezhaar, nouk jhok aur takraar likha karti hai,
har meethe pal se dil ko meetha karti hai,

dekhne main kali syahi, jahan ko ujla karti hai,
jeewan ke har rang ki, yeh syahi rachna karti hai,

6 comments:

bhavna2716 said...

har meethe pal se dil ko meetha karti hai,

nice line....
waise kalam kuch nahi agar kalam ke aap jaise kadardan na hoo janab.

Unknown said...

very nice...
put something related to knowledge if possible boz it is related to it
is it....
otherwise it beautiful...
all d best
improving..
gud..

Me Thinks.. said...

bahut khoob....
hum to aapki kalam ke fan ho gaye hai...
viraano ki dastan bayan karti hai..
amazing line...

kalakaksha.net said...

Awsome thoughts.I have no Words.U made me read Mr.Vikas, Where im not fond of reading.

Cosmos said...

Syahi ki daastan me mujhe kuchh dard bhi dikhta hai.
Syahi waqai bahut kuchh karti hai aur khaas tour par tab jab wo aapki kalam se nikli ho

Unknown said...

intense as he is.....reflects in his poems too......