Dhoop main chalta raha, pasine se chehra dhulta raha,
Kahi thodi chav mile, ab sone ko dil karta hai,
Kai manzar dekhe, Kai chehron ki asliyat pehchani,
Koi apna kandha mile, ab rone ka dil karta hai.
Thamta nahi hai dard ka karwan, phir bhi yeh palken rookhi hai,
Sookh na jaye yeh samndar, yeh soch kar dil darta hai,
Har rat ke baad suraj aata hai, yeh toh dunia janti hai,
Apne suraj ka intezar, salon se yeh dil karta hai,
Chirag jo jalte nahi, woh hamari kismat main aye hai,
Koshishe unhe roshan karne ki, harta dil baar baar karta hai,

2 comments:
koshishe hi kamyab hoti hai janab !
dont worry wo subah kabhi to aayegi jiska aapka intzar hai
this one is amazing i Love every line ....
spl Thamta nahi hai dard.....
Koi apna kandha mile...
I can relate with every word you have written, this is what Iam talking abt, you write amazingly well..
Umeed pe duniya kayam hai, koshish jaari rakho... tumhara chirag bhi kisi din roshan hoga.. there is always a light at the end of the tunnel...;)
Post a Comment