Monday, 26 February 2007

Bhookh....


Chund roti ke tukdon se pet bhar jata hai,
Phir kyu insaan doudta rehta hai,
yeh kaisi bhookh hai jo mit tee nahi…

Garibee se haal behaal hai logon ka,
Tan par kapda nahi, rang sookh chuka hai chehron ka,
Yeh kaisi mayusee hai jo toot tee nahi…

Kahi toh khil rahe hai chehre, roshni hai chahu aur,
Kahi bujhe chehron main milta nahi andheron ka akhree chor,
Yeh kaisi majboori hai jo chut tee nahi…

Rangon bhari is dunia main, kyu berang hai unki basti,
kyu mayusee hai chayee unke dilon par, kaha gum hai unki hasti,
yeh sawalon ki kaisi ladi hai jo toot tee nahi…

Itna ghareeb hai mukaddar unka, phir bhi muskurate hai woh,
Chadar bhale hi choti ho, par befikra so jate hai woh,
Sang ek asha hai jine ki jo ruth tee nahi,
yeh kaisi bhookh hai jo mit tee nahi…

3 comments:

bhavna2716 said...

amazingly written sadako par palati hui bechari aur dard ko bilkul sahi utahra hai shabdoo me but i have no words for it.. the picture also reflecting the colour of the poem grrrr8 pice
Pahli bar sacchi tarif kar rahi hooo!

Me Thinks.. said...

sach kahu to tum isse behatar likh sakte ho.. choti chadar vaali baat bahut achchi hai...

But I think you can write much better than this one...tum sawaal hi poochte rahoge kya? jawab bhi to do..

Cosmos said...

I didnt get the idea of this post.
What are you trying to say?
Kaheen par gareeb aur kaheen par ameer ki baat ki hai lekin bahut si jagahon par link nahi baith rahi hai.
Ho sake to try to establish link between two lines then i think it will make your point clearly