Yad hai woh pak ramzaan tha aur roze chal rahe the, hamare ghar bhi deepawali ki teyariya shuru hui thi, main bazaar se aakar baitha hi tha ki mere chacha ka chota beta mayank jise pyar se sabhi gharwale chuchu kehte hai,(darasal uski shakal bhi chuchu jaisi massom hai) aakar meri god main baitha aur bola bhaiya yeh ramzan kya hota hai? uske chehre se bala ki masoomiyat tapak rahi thi. Main khud ko uska jawab dene se rok na saka apne islaam ke tooti phooti jankari ki ekatrit karke maine uski is jigyasa ko shant karne ka sahas kiya (uske masoom sawalon ke jawab dena sach main ek sahasik kaam hai, kargil main goliyan kam chali hongi uske sawalon ke mukable) maine bade hi pyar se kaha beta ramzam islaam main bada hi pavitra mahina mana jata hai, jaisa socha tha agli goli, bhaiya isme kya karte hai? Is baar thoda dar lag raha than na jane agli goli kounsi ho use dhyan main rakh kar maine is sawal ka jawab bada hi sadhe tarike se diya, beta isme log roza rakte hai, hum jise upwaas kehte hai use muslim log roza kehte hai, us din maine who kargil jeet liya aur chuchu kisi doorsri baat main ulajh kar reh gaya.
Par mujhe nahi pata tha ki yeh yuddh viraam nahi hai apna aslaa teyaar karne ke liye liya gaya waqt hai, agli subah uska chehra dekh kar mujhe apni pataka niche jhuki nazar aane lagi, pehli goli uske kheme se chali, bhaiya hum roza kyo nahi rakhte? sawal ke peeche ki ran-niti ko na samajhte hue bade hi sahaj swabhav se uttar diya beta who toh sirf muslim log hi rakhte hai….
Is baar chuchu gazab ki teyari main tha usne tapak se kaha, bhaiya main bhi roza rakhoonga mere dost muslim hai unhoone mujhe bataya ki ramzaan ka 27va din sabse pak hota hai main us din roza rakoonga, uski is yojna sunkar main hil gaya, jo baat maine 25 salo main nahi sochi who baat 7 saal ka bachcha kitni aasani se keh gaya.. use mana karne ka sahas na juta paya, apne man ko kachotta hua sochta raha-Hum badon ne zamin par kuch katon ki taron se uska batwara toh kar diya, par hum kyo in masoomon ke dilon main katon bhari taren taan rahe hai…? sawal ka jawab aaj bhi dhoondh raha hoon, kya main sahi tha ya who saat saal ka chuchu…

1 comment:
zindagi kabhi kabhi aise ajib sawal pochti hai jinke bare me shayad hamne kabhi socha hi nahi. ya yu kaho ki sochkar bhi nahi socha but chuchu ki dat deni hogi 7 sal ke bacche ne bada akalmandi ka kam kiya. use pata hai is geet ka maylab ki "Hind desh ke niwasi sabhi jan ek hai"...
Post a Comment