Wednesday, 24 January 2007

Kurukshetra...




Na manzilein hongi, na hamsafar,
Raste bhi anjane honge, jab thake sharir toh khud ko bhoolna nahi…

Koshishein nakam hongi, mehnatein bekar hongi,
Jab tootne lage dil toh khud ko bhoolna nahi…

Rah main kaii aaenge, kaii chod jayenge,
Akela ho man toh khud ko bhoolna nahi…

Age vishal sagar ho, paar tumhe jana, pas na koi zariya ho,
Madad talashe man toh khud ko bhoolna nahi…

Gagan ko chuta parvat samne ho, apni hasti choti lage,
Sahas chahe man toh khud ko bhoolna nahi…

Koi madad na hogi, na koi sathi hoga,
Apne rath ke tum sarthi, apne raste khud chun na hoga,

Pehchan khud ko apni mehnat se yeh kurukshetra jeetna hoga,
Apni mehnat se yeh kurukshetra jeetna hoga........

2 comments:

bhavna2716 said...

very inspirational
har line padne ke sath ladne ki nayi takat bhar aati hai dil me....

Koshishein nakam hongi, mehnatein bekar hongi,
Jab tootne lage dil toh khud ko bhoolna nahi…

u rock man
But...last third m forth line can look better if u add Kudakoo bhulana nahi in the end, last to lines r good ending as u always wrote.Good lines Veer Youdha!!!

Cosmos said...

Manzilon ko khojne ko rahi
Sheeshe ke mahlon ko bhoolna hoga.

Jeene ka naya housla, jazba lekin jeene ke liye takleefon aur sukhon ke beech jo jang hai us jang se bhi hame hi ladna padega.

TOOO GOOOOOOOOOD