Zameen apni aasman apna,
yeh suraj aur chand tare bhi apne,
Phir kyu hai hum be-watan……
yeh suraj aur chand tare bhi apne,
Phir kyu hai hum be-watan……
Khet apne khaliyano ki faslein apni,
Rastein apne unpar chalkar milne wali manzilein bhi apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….
Rastein apne unpar chalkar milne wali manzilein bhi apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….
Sardiyon ki dhoop apni,
Barishon main girne wali pani ki har boond apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….
Nadiyan apni jharne apne,
Parvat apne unhe dhakne wale jangal apne,
Phir kyu hai hum be-watan…….
Jeet apni haar apni,
Madad ke liye pukar bhi apni,
Phir kyu hai hum be-watan…….
Sawal kai hai jawab sirf ek,
Jaha apne sath nahi hote, waha sab kuch hone par bhi,
Hote hai hum be-watan…….
3 comments:
Jeet apni haar apni,
nice line !
hey, kaha bewatan hai ham !apne
to hamesha pas hote hai fasle kabhi duriyo se kaha badate hai.
Apana watan to hamesha apne sath hota hai uski boli ki mithas aur mitti ki kushboo bhala kabhi jati hay ? sach he na !!
Teri kismat ho ya mere hunar ki chandani
Waqt ke bazar me har cheez ke lagte hain dam.
aur sirf isliye desh ko hamare hi logon ne bech dala hai. Aur hum aazad watan hote hue bhi bewatan hain.
Nice questions before 27th Republic Day.
hmm ... hunger for evrything ..thats wat i say and in that respect its true that .. "hum aaj bhi hain be-watan" ... we want evrything ... kya ye bhook kabhi mitegi ???
Post a Comment