Mirza ghalib ko toh sab jante hai, dimag main shayari jeb main fakiri.
Ek baar ghalib apne faanke ke dino main apne doston ke beech baithe the thabhi unhone kuch aisi baat kahi ki sabhi dost khush ho gaye aur unhe inaam dene ka faisla kiya…..sabne apni apni jeb se kuch asharfiya jama karke ghalib ko di aur kaha…….ghalib yeh lo aaj toh tum apne biwi bachcho ko khana de paoge……….sabha samapt hone par sabhi apne ghar ko chale, ghar jate waqt mirza ne khana na lete hue sharab ki botalein le li. Ghar par jab unki biwi ne sharab ki botalein dekhi toh mirza ko khari khoti sunane lagi…..us par mirza ne apne andaz main jawab diya ki…kyo pareshan hoti ho upper wale ne jab pet diya hai toh khana toh dega hi…aur sharab ki aur ishara karte hue kaha baki cheezo ka intezaam hamein karna padta hai…..
Toh doston moral of the story is Zindagi main sirf roti hi nahi hai pane ko....
4 comments:
Ha aur kuchh to bacha nahi hai Sharab ke sivaye.(he he)
Sahi hai agar logon me sirf roti ki bhookh hoti to duniya ka aalam wahi barson purana hota.
he he !!:) ha ji kissa to bada khub hai but aap moral of the story bada accha nikal laye hi nikal lete hai, Mr. optmistic! ye moral jara galib ki bibi bhi jan leti to badi khush hoti janab.
Great Work!! I think you are about to witness just a glimpse of the creativity you are actually capable of.
u dnt know ghalib was great but used to drink was great sin accrdng to islam,,we jst pray may ALLAH forgive him..n we too avoid d same
Post a Comment