Tuesday, 26 December 2006

CHAL DIYA.....

CHAL DIYA.....

kadmaon ke nishan dekh kar jo chal diya,
rahon ko na dekha, manzar ko na dekha,

jo dekha sapno ko dekha,
aur apno se muh mod kar chal diya,
khali dil tha, roshni ka suraag na tha,
jalaya dil apno ka, rahen roshan kar chal diya,

gulshan ki talash kar raha tha,
kaliyon ko tod kar chal diya,

kuch hi chala tha, virane ka ehsaas hone laga,
akela paya khud ko, dil apno ke liye rone laga,

jab mud kar dekha, apne bula rahe the,
meri sari ghaltiyon ko apne aanchal se mita rahe the,
aaj phir jine ko dil karta hai ,
apno main lout jane ko dil karta hai.

EK DIN MAIN CHALA JA RAHA THA

EK DIN MAIN CHALA JA RAHA THA....

sune raste aur koi makam na tha,
ek din main chala ja raha tha....

rasto par nishan dhundhti thi yeh nazar,
masoom sa dil, mushkilon se be khabar chala ja raha tha....

akela sharir tha aur man main vishvas tha,
mushkilon se ladkar jeet ka ehsaas, chala ja raha tha.....

ghataein kali thi, mousam dara raha tha,
majdhar main nouka patvar se lada raha tha...

rokta tha aansuon ko, dar ko man main daba raha tha
chut ti sanson ka manzar, dari aankhon se bhoola raha tha......

koshishen jee tod thi, jeet ko mana raha tha,
chand sannson se bujhe deepak jala raha tha......

durd ko dabaya aur dil se aakhri daav laga raha tha,
ab kali ghataon ke piche chand nazar aa raha tha...

Ek din main chala ja raha tha.........

JEEO

Toofano se darkar jo nouka kinaron par khade hote hai,

Yeh toh woh bhi jante hai ki unke per kichad main gade hote hai....


unse kaho ek bare majhdhar main aa kar toh dekhe,

Samndar patvar se nahi honslon se par hote hai....


Jahan ko roshan karna suraj ka kaam hota hai,

Sitaron ki roshni se jalne wale ravi nahi hote.....

YEH DIL SAWAL KARTA HAI

Uski rehmat woh hi jane, Woh kab kamaal karta hai,

par yeh nadan dil.. Yeh dil sawal karta hai...

Kab hogi roshni, intezar main aankhe lal karta hai,

yeh dil sawal karta hai..

Kab jaloon is chal main, chulhe ki bachi rakh main angar dhoondhta hai,

Inhi sawalon ke jawab dhoondhne main, Zindagi halal karta hai,

Phir bhi yeh Nadan Dil


YEH DIL SAWAL KARTA HAI...

Wednesday, 20 December 2006

ZINDAGI....

jo yaha aya, woh chala gaya ek din,

koi thehra nahi yaaha, yaha toh pattharon ke bhi per hote hai,

yaron isi ko toh zindagi kehte hai........



na mousam thehra, na hawaein thehri,

na patjhar, na baharein thehri,

par jab bhi aate hai, apne main sher hote hai yeh,

yaron isi ko toh zindagi kehte hai........



na bachpan thehra, na jawani thehri,

na chayya, na dhoop sunahri,

rote hanste, hanste rote,

rukte kabhi, kabhi chalte hai,

yaron isi ko toh zindagi kehte hai........


bhookhe sharir, nange badan,

sar ki chaat ka toh aalam hi na poocho,

phir bhi chehre par muskan, aur dil main mallika ke arman saje hote hai,

yaron isi ko toh zindagi kehte hai........


yaron isi ko toh zindagi kehte hai........